Ibarat 1
jab allah taalah zameen o asmaan ko 6 roz me paida farma chuka aur arshe
maualla par jalwa Numaa hua to is qutub ul madaar ke dosho se guzar kar
apne anwaar se musharraf farmakar Jamee Auliya , wa Attaqiya , Gaus o
Qutub par isko iftikhar baksh kar arshe bari par raunak afza hua aur
Awwaz aayi ke jinke qadam tamam Auliya Allah ki gardan par hai unki
gardan par tera qadam hai {Milaad Zinda shah Madaar/musannif Zulfiqar
Ali Kamar madaari makanpuri }
Ibarat 2
Hazrat khatimul nabiyeen alahul tahhiya wal tasleem zamanaye nabowat se
pehle Darjaye Qutbul Madaar par the wahi martaba Hazrat Zinda shah
madaar ko aapne Inayat farmaya (Milaad Zinda shah madaar 27 }
Ibarat no 3
Riwayat hai ke roze azal ko jabke malaika ne ba hukme rabbul jaleel 3
safe Rooho ki murattab kee to safe awwal arwahe ambiya alaihissalaam aur
safe 2wam me Arwahe auliya e azaam aur safhe suwam me qul makhlook ki
roohe daakhil kee , too sayadul abraar Hazrat Zinda shah madaar ki rooh
paak doosri saff se nikal kar Safe awla me daakhil hone lagi , hukm hua
ke tum safe awwal aur safe saani ke darmiyaan raho qke martabaye
madariya darmiyaane nabowat aur wilayat ke hai …..(milaad zinda shah
madaar 27)
No comments:
Post a Comment