Tuesday, 25 February 2014

DR TAHIR MINHAJI KE OFFICIAL REPLY KA OPERATION BY MUFTI TAQADDUS ALI KHAN SAHEB ALAIHIRRAHEMA

  • Jab khaleefa e huzoor mufti e aazam e hind , shagird e huzoor aalahazrat radiallahu anh , huzoor mufti ashshah mufti taqaddus ali khan radiallahu anh ke khat ka jawaab dr tahir ney diya do rangi policy apnaatey huey to mufti saaheb ki tabiyat bahut naasaaz thi lekin mufti saaheb ney zaroorat samajhtey huey us key jawaab ka reply diya aur us sey mazeed wazaahat chaahi lekin , dr tahir ney us ka koi jawaab nahi diya , aur yeh minhaji us OFFICIAL REPLY ko pesh kar rahey hai jis ka already operation kar chukey hai aur us ka koi jawaab nahi dr tahir ke paas.................. ..............

  • SHARM E NABI KHAUF E KHUDA......... ..........................
  • YEH BHI NAHI WOH BHI NAHI ................ ..
(subhanahu ta-aalaa wa rasoolullah sallallahu alaihi wasallam)
  • ================="""JAWAABALJAWAAB"""=======================
Professor tahir ul qadri saaheb ! assalam alaikum! Aapki tafsili khat mujhey mila , jab mai haramain tayyabain aur baghdaad shareef ki haazri ke liye paa barikaab thaa. Wahan sey taqreeban ek maah baad waapis aayaa to aap ke jawaab ki raoshni mey dobaaraa khat likhna munaasib samjhaa kyunki aap key is jawaab sey to mutaalleqeen key khadshaat aur pukhtaa ho rahey hai.Jahaan tak tanqeed ki baat hai agar is mey haqeeqat ho to isey maan lenaa chaahiye.Yeh wasee-un-nazar fee aur pukhta amali ki alaamat hai.Sirf apni hi baat par ad jaaney sey to firqo ney janm liya hai. ........................
  • DO RANGI............................. Aap(dr tahir minhaji) ki zahaanat aur maqbooliyat ki badi khushi hoti, agar akaabereen e ummat sey aapkey khayaalaat naa takraatey.Is khat mey aap ek maqaam par gustaakhaan e rasool k mutaaliq kufr o irtedaad ka fatwaa dey rahey hai , aur doosri jageh un ko alat-tehqeeq musalmaan bhi tasawwur kar rahey hai.Aap zara wazaahat karey ki aap ke nazdeek kaun log gustaakh e rasool hai aur un makaatib e fikr ki bhi nishaandahi karey jo aap key nazdeek alat-tehqeeq musalmaan hai aur kya mundarjaa zail ibaartey gustaakhi hai yaa nahi ? ..........................

  • IBAARATEY.........................

  • @Maulvi ismaayeel dehelvee ney "taqviyatul iman " mey likha k "jaisa har qaum ka chaudhary aur gaao ka zameedaar , so in maano ko har paighambar apni ummat ka sardaar hai. yaani insaan aapas mey sab bhai hai jo bada buzurg ho woh badaa bhai." neez likha ki "har makhlooq badaa ho yaa chhotaa woh ALLAH ki shan ke aagey chamaar sey bhi zyaadaa zaleel hai."(ma-aazallah) 
============================================================================================================================================

=============================================================================================================================================
  • @Maulvi qasim naanautvee "tehzeerunnas" mey likhtey hai "agar bilfarz baad zamaana e nabavi bhi koi nabi paidaa ho to phir khaatimiyat e mohammadi mey kucchh farq na aayegaa cheh jaaye k aap ke ma-aasir kisi aur zameen ya farz kijiye ki usee zameen mey koi aur nabi tajweez kiya jaaye" (ma-aazallah) 

  • @Maulvi khaleel ahmad ney "baraaheen e qaati-aa" mey likha hai k "alhaasil ghaur karnaa chaahiye k shaitaan o malakul maut ka haal dekh kar ilm e moheet e zameen ka fakhr e aalam ko khilaaf e nusoos e qataiya k bila daleel mahez qayaas e faasida sey saabit karnaa shirk nahi to kaun sa iman ka hissa hai"(ma-aazallah) 

  • @Maulvi ashraf ali thaanvi ney "hifz ul iman" mey likha "agar baaz uloom e ghaibiya muraad hai to is mey huzoor hi ki kya takhsees, aisa ilm e ghaib to zaid o amr balki har sabi o majnoon balki jamee haiwaanaat o bahaayem ke liye bhi haasil hai"(ma-aazallah) 

  • @Maulvi ismaayeel dehelvee ney apni kitab "sirat e mustaqeem" mey likha hai k "namaz mey peer aur us key maanind aur buzurgo ki taraf khayaal le jaanaa agarchey janaab risaalat ma-aab ho kitney hi darjo apney bail aur gadhey ke tasawwur mey doob jaaney sey badtar hai."(tarjuma farsi , ma-aazallah)

  • @Isi tarha quraan e paak ko naa mukammal kehnaa , jibra-eel e ameen ko ghalti ka murtakab batana, khaleefa e awwal ki khilafat ko ghalat tasawwur karnaa , sahaabaa e karaam khusoosan shaikhain par shab o sitam karnaa gustaakhi hai ki nahi? Aap (dr tahir ul qadri)jis ikhtelaaf ko froo-ee aur maamooli samajh rahey hai zara us ki no-iyyat aur sangeeni ko dekhey jo baat kufr o irtedaad tak pahunchaaye woh maamuli nahi ho sakti , Apney ghalat fehmi paidaa karney waali is ibaarat ko is kitaab sey nikalwaaney ka waadaa kiya aur ham bhi yeh chahtey hai magar risalaa deed o shuneed ke ghair zimmedaar sahafiyo par aap ney kya qadam uthaayaa aur unkey mutaaliq kaunsi qaanooni chaaraa joi ki . Sirf markaz par risaalaa farokht naa karney sey kya farq padtaa hai,akhbaaraat aur rasaayel mey aap key interviews aur taqaareer agar ghalat rang sey chhap jaaye to fauri taur sey is key mutaaliq tardeedi bayaan diya karey, isi tarha naa kardaa gunaah aur awaam o khwaas ki ghalat fehmi khud ba khud khatm ho jaayegee. ...................=========================================================================================================================================== 
============================================================================================================================================
  • FIRQA WAARIYAT.............. Aap (Dr tahir ul qadri)ney likha hai ki "aap ka kisi firqey sey taaluq nahi" yeh kyunkar ho saktaa hai ? Burey firqey sey to ALLAH jalla shanhu aap ko bachaaye kya acchhey firqey sey bhi aap ko nafrat hai? Waazeh ho k ummat mey firqa bandi maujood hai , irshad e graami hai k "................"kisi maujood ka inkaar karnaa aisaa hi hai jaisey din ke waqt sooraj ka inkaar aur jis firqa bandi sey ummat ki tabaahi aur baaz firqo ki takfeer tak naubat aayee , yeh saari duniya mey aur hamarey pakistan mey aur hindustaan mey mutaarefaa firqa bandi hai , lekin baaz baatey aisi bhi hui hai jin mey ikhtelaafat ka honaa , na ifteraaq e ummat ka sabab banaa na us ki wajeh sey fasaad hua aur na hi musalmaan us ko firqa bandi shumaar kartey hai aur yeh ikhtelaaf "ikhtelaaf e ummati rahematoh" ka mazhar hai. Aap ney bhi apni kitaab mey aisi groh bandi ko mustehsan qaraar diya hai aur yeh wajeh likhi hai k aisey ikhtelaaf ki wajeh sey zyaadaa tehqeeq karney ka jazbaa paidaa hotaa hai.Samjhiye k is ki misaal shariyat mey hanafiyat,malikiyat,naqshbandiyat,sohrawardiyat hai.Yeh froo-ee ikhtelaafaat kehlaatey hai, inki wajeh sey na koi fasaad hota hai na koi ek doosrey ko bura bhala kehtaa hai aur naa hi us key mutaaliq kisi musalmaan ke zahen mey firqa bandi ka tasawwur hai. .....................

  • ASL FIRQA BANDI................. Aqaayed mey ikhtelaaf aur ALLAH TA-AALAA aur AMBIYA E KARAAM aur khusoosan HUZOOR E ANWAR SALLALLAHU ALAIHI WASALLAM aur SAHAABA E KARAAM khusoosan KHULFAA E RAASHEDEEN aur A-IMMA E MUJTAHEDEEN ki tauheen o tanqees ki wajeh sey paidaa hui aur isi ney musalmaano ki jami-iyyat ko muntashir kar diya. In mey sey ek firqa shia hai jo kalaamullah ko mehfooz o mukammal nahi maantaa . Jibra-eel e ameen ko ghalti ka mutakab qaraar detey hai k us ney wahi pahunchaaney mey ghalti ki thi. Khulfaa e salaasaa khas taur par shaikhain ko sab o shitam karna aur un par tabarra karnaa apna she-aar banaayaa hua hai , mazeed in key aqaayed ki tafseel in key kitaabo mey dekhi jaa sakti hai. .....................====================================================================================================================================== 
=========================================================================================================================================
  • FIRQA E WAHABIYA................... 
Sab sey zyaadaa tafreeq bain ul momeneen aur musalmaano ki jami-iyyat ko tabaah karney waalaa firqa e wahabiya hai jo ki baad mey deobandiyat ke naam sey mash-hoor hua ,. jiski hadees mey itlaa pehley sey di gayee aur us key paidaa honey ki jageh bhi bayaan farmaa di thi "................." chunaanche is farmaan ke mutaabiq Ibn e abdul wahaab najd mey paidaa hua . Us ney ek naya mazhab ijaad kiya jis ki buniyad tauheen e nabi sallallahu alaihi wasallam aur musalmaano ko kafir o mushrik kehney par rakhi.Isney(ibn e abdul wahaab najdi) ney jo kitaab banaam "kitabuttauheed" likhi thi us mey kufr o shirk ki itni bharmaar hai ki aaj duniya mey shaayad hi koi musalmaan us key hukm e shirk o kufr sey bachaa ho .In ke mutaaliq "fatawa e rasheediya" mey likha "Ibn e abdul wahaab ke muqtadiyo ko wahabi kehtey hai. In key aqaayed umdaa they" (ma-aazallah). Hindustaan mey wahabiyat ke mu-allim e awwal maulvi ismaa-eel dehelvi hajj ko gaye aur woh "kitabuttauheed" dehli ley aaye . Aksar jageh us ka be-ainehee us ka tarjuma karkey aur apni taraf sey faayedey badha kar ek ktab likhi jiska naam "taqviyatul iman" rakha.Isey deobandi apney aqaayed ki asaas qaraar detey hai."fatawa e rasheediya" mey hai k"taqviyatul iman nihaayat umdaa kitab hai" maulvi maudoodi ney apni kitaab "Tajdeed wa ahyaa e deen" mey maulvi ismaayeel ko mujaddid saabit karney ki koshish ki hai. "taqviyatul iman" aur us key musannif ki taareef aur tauseef karney waaley sab isi firqey ke numaaindey hai. Ghair muqallid,deobandi aur maudoodi isi wahabiyat ki mukhtalif shaakhey hai inhoney wahabiyat ke badnaam honey ki wajeh sey apneu naam badal liye hai magar aqeedey wahi ikhteyaar kiye huey hai. ...........................
  • ISEY KEHTEY HAI...............FIRQA BANDI..... aur yahi firqa bandi hai jis ney ummat e muslima ko grohon mey taqseem kar diya aur un ka ittehaad paaraa paaraa kardiya.Isi firqa bandi ko har musalmaan firqa bandi samajhta hai aur qaabil e mazammat qaraar detaa hai.Aap (dr tahir ul qadri) apni kitaab "firqa parasti ka khaatma kyunkar mumkin hai" meu firqa bandi ka tazkeraa yoo kartey hai , page no 45 par hai "Firqa parasti ki tangnaao mey bhatakney waaley naa aaqebat andesh musalmaan key liye zawaal e baghdaad ki taareekh ibrat naak manzar pesh kar rahi hai". Isi page par hai "wazeer e aazam ki siyaasat shia mulk ke gird ghoomti thi jabki khaleefa ka betaa abu bakr sunni aqaayed ka naqeeb tha. Dono firqey baahem dast o girebaan they."page no 46 "Phir jo tabaahi hogee us mey naa koi barailvee bach sakegaa naa koi deobandi naa koi ahl e hadees aur naa koi shia." ..........................================================================================================================================================== 
==========================================================================================================================================
  • BARAILVIYAT...................... page no 111 "barailviyat , deobandiyat , ahl e hadees , shi-iyyat aisey tamaam unwaanaat sey wehshat honey lagti hai."Isja matlab yeh hai k aap bhi is ko hi firqa bandi qaraar detey hai aur hanafiyat o shaafiyat aur qadriyat o chishtiyat waghaira ko bhi aap ney firqa bandiyat mey shumaar nahi kiya hai, daryaaft talab amr yeh hai ki unhi qaabil e mazammat firqo mey aap ney barailviyat ka bhi zikr kiya hai. Aap barailviyo ke mutaaliq aisi baato ki nishandahi kar saktey hai jin ki binaa par aap ney un ko bhi gustaakh aur bad aqeeda firqo mey shumaar kiya hai.Yeh afsosnaak baat hai. .....................................

  • BARAILVEE MASLAK.................... Waazeh ho ki barailviyat kisi mazhab ka naam nahi hai jo is sey kisi ko wehshat honey lagey . Yeh ek markaz e roohani o ilmi ki nisbat hai jisney wahabiyat ke fitney ka parda chaak kiya aur maqaam e nabi o wali ka tahaffuz o difaa kiya . Maqar aur munkar ke darmyaan imteyaaz ki khaatir mutaaleqeen ney apnaa taaruf markaz e ilmi ki nisbat sey karwaanaa shroo kiyaa aur BARAILVY kehlaaye warnaa in key aqaayed wahi hai jo salf o saaleheen key they aur yeh quraan o sunnat ke ain mutaabiq hai.Aap (dr tahir ul qadri)key baqaul "Maslak e ahl e sunnat hargiz firqa nahi hai aur ummat e muslema ka sawaad e aazam hai." AISEY HI BARAILVEE MASLAK BHI UMMAT E NAAJIYA KA SAWAAD E AAZAM HAI AUR ISEY WAQTI TAARUF KI ZAROORAT KE PESH E NAZAR BARAILVEE KAHA JAATAA HAI .(((FAQAT ::-FAQEER TAQADDUS ALI QAADRI RAZAVI BARAILVY , SHAIKH UL JAAMIA , JAAMIA RAASHDIYA PEER GOTH , ZILLA KHAIR PUR , SINDH)))====================================================================================================================================== 

Loud Speaker Par Namaz Nahi Hoti Ijmaa' E Ummat Az Roo E Akabir Ulema E Ahle Sunnat Mufti Hassan Ali Qadri Mailsee Pakistan

Loud Speaker Par Namaz Nahi Hoti-Ijmaa' E Ummat Az Roo E Akabir Ulema E Ahl E Sunnat-Mufti Hassan Ali Qadri Mailsee-Pakistan

  • بسم اللہ الرحمٰن الرحیم                                                       
  • 1)ALQURAN::                                                           
 ALLAH subhanahu ta'aalaa quran mein irshad farmaataa hai

  • Tarjumah Kanzul Iman Urdu::- “””Aur apni NAMAZ na bahut aawaaz sey padho na bilkul aahistah aur in dono k beech mey raastah chaaho””” 

(Surah No 17 Surah Bani Israayeel Aayat No 110 )

  • Translation English Kanzul Iman::- ""And neither offers your prayer with loud voice nor with too low voice and seeks a way in between.""

(Surah No 17 Surah Bani Israayeel Aayat No 110 )

  • Ab is aayat ki tafseer b Mulahezah farmaaye ,  is aayat k tahet TAFSEER E NA'EEMI mey mufti naeemuddin alaihirrahema farmaatey hai --------------------"""yaani mutawassit aawaaz sey padho jis sey muqtadee ba aasaani sun lein SHAN E NUZOOL  rasool e kareem sallALLAHu alaihi wasallam makka e mukarrimah mein jab apney ashaab ki imaamat farmaatey , mushrekeen suntey to quran e paak ko , aur us key naazil farmaaney waaley ko aur jin par naazil hua un sab ko gaaliyaa detey , is par yeh aayat e kareemah naazil hui""" 

  • 2) Al Quran::---------------------------------
ALLAH subhanahu ta'aalaa quran mein irshad farmaataa hai

  • Tarjumah Kanzul Iman ::------------------------
"""Beshak muraad ko pahunchey iman waaley , jo apni namaaz mein (Khushoo’ Aur Khuzoo’ sey) gidgidaatey hai , aur woh jo kisi behudah baat ki taraf iltefaat nahi kertey aur woh ki zakaat deney ka kaam kertey hai , aur wo jo apni sharm gaaho ki hifaazat kertey hai , magar apni beewiyo aur shara'ee baandiyo per jo un key haath ki milk hai ki un per koi malaamet nahi , to jo un do k siwaa kucchh aur chaahey , WAHI HADD SEY BADHNEY WAALEY HAI , aur woh jo apni amaanato aur apney ahed ki riaa'yet kertey hai , aur WOH JO APNI NAMAAZO KI NIGEHBAANI(Hifazat) KERTEY HAI , yehi loag waaris hai ki firdaus ki meeraas paayengey , aur usmein hamesha rahengey .""" (sureh al moomenoon , verse 1-11)
  • Translation English Kanzul Iman::------------------------- 
1. Undoubtedly, the believers reached to their goal. 2. Those who beseech in their prayers. 3. And those who turn away from vain talk. 4. And those who are active in paying poor-due (Zakat). 5. And those who guard their private parts. 6. But from their wives or lawful handmaids who are the property of their hand for (in their case) they are not to be blamed. 7. Then whoso desires anything more than these two, they are the transgressors. 8. And those who regard their trusts and their covenant. 9. And those who keep watch to their prayers. 10. They are indeed the inheritors. 11. Who shall inherit the Paradise, they shall abide there in. (sureh al moomenoon , verse 1-11)

Ahaadees E Mubarikah ka mafhoom  ::-
  • 1) RasooluALLAH sallALLAHu alaihi wasallam farmaatey hai “”"yaani tum per laazim hai meri sunnat per amal karo aur mere baad khulafaa e raashedeen ki sunnat per amal karo""" isi hadees ka ek hissa yeh hai  """yaani meri aur khulfaa e raashedeen ki sunnat aur tareeqah ko ikhteyaar karo , aur is tareeqey ko mazbooti sey thaam lo , aur khabardaar nayee nayee baato sey bachtey reho is liye ki har nayee cheez bid'at hai aur har aisee bid'at gumrahi hai""" (Musnad Imam Ahmad Bin Hanbal, Jild 5 Page 110 Aboo Daaood, Tirmizi, Ibn E Maajah) 

  • 2)Ek Hadees ka mafhoom hai """Namaz Deen ka sutoon hai """ 

  • 3)Ek Hadees ka mafhoom hai , """namaaz deen ka umood (khambaa) hai"""


  • 25 saalo sey ameer e dawat e islami maslak e aalahazrat key naarah lagaa kar shohrat hasil ki, lekin  jab ek taadaad awaam ki apne saath jod liya to ab guzishtah kucchh saalo sey maslak e aalahazrat sey inheraaf shroo kiya , aur shariyat per iftra’a karna , aur apni khud saakhtah qawaaneen banaaney shroo kiye aur ulemaa e ahl e sunnat mein jin maamlaat mein ikhtelaaf nahi usey ikhtelaaf bataa kar awaam ko gumrah karna shroo kiya , aur khud b maslak e aalahazrat sey inheraaf kiya aur awaam e ahl e sunnat ko b maslak e aalahazrat sey munharif , aur ummat mein fitnah o fasaadh ka sabab baney , aur ek badaa fitna ummat mein paidah kar diya , jis ka mushahidah har ko kar saktaa hai , maslak e aalahazrat sey yeh inheraaf sirf ek mas’aley par nahi kam sey 5-7 mas’alo par kiya , aur ummat mein inteshaar paidah karkey ummat ka sheerazah bikher diya , sab sey pehley yeh shroowaat hui loud speaker k mas’aley per , lehaza Pakistan k ek akabir mufti hasan ali mailsee qadri razavi khaleefa huzoor mufti e aazam e hind aur jinhey kai khulfaa e aalahazrat sey khilafat hasil hai , ek letter mein is tarha is ka inkeshaf farmaatey hai , Iliyas Qadri  Saheb MASLAK E AALAHAZRAT SEY MUNHARIF -Allama maulana mufti ashshah hazrat hasan ali razavi mailsee-Pakistan -----------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------yeh letter 2001 mey likha geyaa thaa , jabki mufti e aazam maharashtra , shamshul fuqha , badru ulemaa , umdatul muhaqqeqeen , mehboob e huzoor mufti e aaazam e hind mufti ghulam mohammad khan alaihirrahema khaleefa e huzoor mufti e aazam e hind radiALLAHu anh ney 1998 mey hi iliyas attar saaheb per ek maamley (1998 mein iliyas attar saaheb mumbai , india aaye they aur ek bayan mein kucchh aisey kalimat kahey they jin per hukm lagaya gaya tha ulemaa e ahl e sunnat ney) mey gumrahi ka hukm lagaa ker khilaafat waapis le leey thi ,  dekhiye mufti saaheb qiblah iliyas attar saaheb k loud speaker par namaz padhaanaa shroo karney key baarey mein kya farmaatey hai is letter mein , -------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------Hazrat allama maulvi mufti ghulam mohammad khan saaheb mudda zillahul aali , o Makhdoom O mohatram allama sayyed mohammad hussaini mudda zillahul aali hadiya salaam masnoon ........................  "faqeer ko maaloom hua hai ki MAULANA ILIYAS QADRI DAWAT E ISLAMI waalo ko HAZRAT ALLAMA MUFTI GHULAM MOHAMMAD KHAN SAAHEB MUDDA ZILLAHU ney silsila e razaviya mey khilafat di hai , yahaan maulana ILIYAS QADRI ney LOUD SPEAKER par namaaz shroo karaa di hai , lehaazaa aap (allama sayyed mohammad hussaini saaheb) aur MUFTI GHULAAM MOHAMMAD KHAN SAAHEB MUDDA ZILLAHU TA'AALAA, MAULVI ILIYAS QADRI key naam mufassal maktoob FAQEER ke patey par irsaal karein jis mey maulana iliyas qadri ko loud speaker par namaazein padhney padhaaney sey mana'a karein ki woh MASLAK E RAZAVI AUR SAYYEDINA MUJADDID E AAZAM quddus sarrahu key maslak sey INHERAAF O UDOOL naa karein , apney QAADRI RAZAVI honey ki daawey ki laaj rakhein…………………………………..”””------------------------------------------------------------------------------------------  scan copy check karein , letter pad ki , ab yeh to Pakistan k akaabir aalim farmaa rahey hai ki iliyas saaheb maslak e aalahazrat sey inheraaf kar rahey hai ,is mein tajushariyah k mureedeen ka kya kusoor , aur mai to tajushariyah ka mureed b nahi , aur tajushariya ka wo bayaan ka link b nahi diya mai ney jis mey tajushariya farmaatey hai """muballegheen e dawat e islami aur sunni dawat e islami maslak e aalahazrat ki muballigh nahi hai""" khair loud speakar par namaz shroo karna wo to shroowaat thi maslak e aalahazrat sey inheraaf ki , aagey to bahut masaayel mein inheraaf kiya attar saaheb ney ……..
----------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------
=======================================================================================================================================
Nashir E Maslak E Aalahazrat Allama Maulana Mufti Hassan ali Qadri razavi Mailsee - Pakistan
Nashir E Maslak E Aalahazrat Allama Maulana Mufti Hassan ali Qadri razavi Mailsee - Pakistan
Allama Hassan ali Qadri razavi Mailsee - Pakistan
Allama Hassan ali Qadri razavi Mailsee - Pakistan
========================================================================-----------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------=======================================================================================================
  • In Muballegheen ney Ulemaa k 2 grp banaaye hai 
----------------------------jwaz waaley(loud speaker ki iqtedaa par namaz ko jaayez kehney waaley) aur
-------------------adm e jwaz waaley (loud speaker ki iqtedaa par namaz ko naajaayez kehney waaley),-----------------------jab asl tehqeeq to yeh hai ki adm e jwaz mey koi grp nazar nahi aataa , sirf 2 mufti saahebaan k naam hai ,
  • 1)jo Loud Speaker ki iqteda par namaz ko naajaayez kehtey hai , us mey tamaam akaabir ulemaa e ahl e sunnat hai us ki list neechey di jaayegee yeh taadaad ek azeem haisiyat rakhti hai , yeh sirf kucchh akaabir ulema ki list hai , in key maanney waaley doosri saf (line) k ulemaa ki taadaad hazaaro mein hai 

  • 2)jo loud speaker par namaz ki iqteda ko theek samajhtey hai un mey sirf 2 naam hai jis ki list a-mufti nooruALLAH saaheb Pakistan b-mufti abdul wajid qadri saaheb Holland , pehley yeh adm e jwaz k qaayel they ab Holland jaa kar jwaz k qaayel hai baaqi jitney ulema ney adm e jwaz ka fatwa diya tha , unhoney sab ney rujoo kar liya, rujoo ki scan neechey aayegee 
-------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------
  • is key ba’ad inhoney scientist k b 2 grp bataaye hai ,

  • 1) loud speaker ki aawaaz ko imam ki aawaaz kehney waaley , lekin koi tehqeeq pesh nahi ki , asl mein aisaa koi scientist nahi hai , jis ney aisee tehqeeq ki ho 

  • 2)loud speaker ki aawaaz ko imam ki aawaaz naa kehney waaley is ki tehqeeq ham pesh karengey jo mufti jalaaluddin amjadi alaihirrahema faqeeh e millat ney apni kitab mein pesh ki hai , neechey scan pages dengey in sha ALLAH  ------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------

  • Pehli baat to yeh hai ki mukammal tehqeeq k ba’ad loud speaker k awaz ki iqtedaa par namaz nahi hoti is par akaabir ulemaa e ahl e sunnat ka ijma’a ho chukka , sirf ek mufti sayyed afdhal hussain saaheb jo huzoor mufti e aazam e hind radiALLAHu anh k khaleefa hai unhoney ikhtelaaf kiyaa thaa ba’ad mein unhoney b us fatwey sey rujoo kar liya , lehaazah yeh zaahir hai ki akaabir ulemaa ney ijma kar liya tha ki loud speaker ki iqtedaa par namaz nahi hoti , ab koi Karachi k ameer is ko ikhtelaaf bataa ker who b sirf ek London k mufti saaheb ka fatwa dikha kar ki ikhtelaaf ho gayaa ikhtelaaf ho gayaa laakh chillaayein lekin yeh sabit nahi kar saktey ,   aur yeh jo awaam ko bataayaa jaataa hai ki “””ulema ka ikhtelaaf rehmat hai “”” kis qism ka ikhtelaaf rehmat hai aur kis qism ka ikhtelaaf zehmat hai , huzoor mufti e aazam e hind radiALLAHu anh k fatwey sey mulaahizah farmaayein , is mey jinhoney loud speaker k fatwey par namaz ko jaayez kaha un key baarey mey b zikr hai , aur yeh rehmat hai yaa zehmat , khud hi fikr karein

======================================================================--------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------==================================================================



=======================================================================-------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------====================================================================
Huzoor Mufti E Aazam e Hind RadiALLAHu anh farmaatey hai , “””Mujtahid Fi Masaayel mein ikhtelaaf e mujtahedeen zaroor rehmat hai ki in mein haq daayer hotaa hai , har fareeque apney ko haq par yaqeen kartaa hai , magar who doosrey mazhab ko ghalat o baatil nahi keh saktaa , apney mazhab ko suwaab jaanegaa mohtamil e khataa …doosrey mazhab ko mohtamil e suwaab , aur hare k doosrey ko musaab maanegaa , Aisey masaayel jis mein ek sahee aur doosra yaqeenan ghalat o baatil  YEH IKHTELAAF REHMAT NAHI NIRAA ZEHMAT HAI ab loud speaker k mas’aley mein kaun ghalti par hai mulaahezah farmaaye , Sarkar mufti e aazam e hind radiALLAHu anh farmaatey hai """Har Koi Jaanta hai ki jo amal, af'aal e namaz sey nahi,jab kaseer hogaa to mufsid e namaz hogaa, Microfone mein aawaaz pahunchaatey rehna amal e kaseer namaz k alaawah amal hai , aur kaseer lehaazah mufsidh , isey kaun nahi maantaa , dehli waalaa ho yaa laahore waalaa ya karachi waalaa , yaa kaheen aur ka , aur ager ek yaa chand aisey ho b to us ka khayaal khaam , niraa naakaam , i'ndal khwaas wal awaam , ------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------Loud Speaker ki aawaaz wahi imam ki aawaaz nahi mumaasil e aawaaz e imam loud speaker ki aawaaz misl e aawaaz e gunbad o chaah (kunwwaa)hai , ain aawaaz e imam nahi , aur muqtadee namaz mein ghair ki iqtedaa karey yeh mufsid , isey dehli ka tasleem nahi kartaa yaa laahore ka yaa karachi ka , agar koi is aawaaz e loud speaker ko imam ki aawaaz khayaal kartaa hai to us ka khayaal mahez ghalat hai""" Aur ek doosrey fatwey mey irshad farmaatey hai  """Aalahazrat quddus sarrahu ki koi ibaarat aisee nahi hai , jis sey yeh samjhaa jaaye ki aalahazrat quddus sarrahu k nazdeek mahez loud speaker ki aawaaz par inteqaalaat karney waaley ki namaz durust hai"""

 ==========================================================================---------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------=========================================================================



=========================================================================----------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------=======================================================================

  • sab sey pehley in muballegheen e dawat e islami ki jurrat dekhein ki jo akaabir ulemaa e ahl e sunnat loud speaker par namaz ki iqteda ko naajaayez kehtey they aur jin logo ney apney jwaz k fatwo sey rujoo kar liya tha unhey b jwaz ki list mein daal ker awaam ko gumrah karney ki koshish ki , aur jab hamney un ki is makkari ko expose kiya , un muftiyan e kiram ki rujoo ki tehreerein pesh ki , to ab unhoney mufti abdul wajid qadri saaheb ka fatwa pesh kiya ki dekho yeh b naajaayez kehtey hai , jaisey Bandar k haath lagaa bater , badaa khush lekin usey samajh hi naa aaye kya karey , 

  • Hamaari arz yeh hai ki kya iliyas attar saaheb ki koi tehqeeq hai loud speker ki iqtedaa par namaz hoti hai ya nahi hoti is taaluq sey , kya unhoney shara’ee yaa scientific kucchh tehqeeq ki hai ki loud speaker ki iqtedaa par namaz, is maamley mein  , ager wo is key ahel nahi hai aur unhoney koi tehqeeq nahi ki hai to un ka kaam thaa ki us fatwey ki pairwee kartey us ijmaa ki pairvee kartey jis mein aalahazrat k tamaam khulafaa , aalahazrat k tamaam shaagird , tilaamezah , jo duniya bhar mein failey huey hai , aur huzoor mufti e aazam e hind k tamaam khulafa muttafique hai , naa ki Holland k mufti saaheb ki , is aalahazrat k khulafaa aur shagirdo k muttafeqah faisley k saamney un holland k mufti saaheb key tehqeeq ka kya importance hai yeh andaazah lagaayaa jaa saktaa hai , wahi shakhsh akaabir k fatwo ko chhod kar holland k mufti saaheb k fatwey ki pairwee karegaa jo jaahil hogaa , ab iliyas attar saaheb sey yeh ummeed nahi thi ki woh aisaa karengei , 

  •  Ab unhoney sadrusshariyah mufti amjad ali radiALLAHu anh ki tehqeeq pesh ki hai ki fatwo k hukm badaltey hai , lekin yeh nahi bataayaa ki waqt k aitebaar sey ahkaam badalney  key liye mudallal o mufassal dalaayel qaayem kiye jaatey hai , us key baad hi akaabir ulemaa e ahl e sunnat faislah kartey hai , aisaa nahi jo aaj iliyas attar saaheb aur unkey sikhaaye naujawaan muftiyan e kiraam ka tareeqah hai , iliyas attar saaheb ki tabiyat k aitebaar sey faisley karey aur hukm badley ,naa koi daleel naa koi taaeed , bus jab marzi mein aayaa tab loud speker k iqteda per namaz ko na jaayez kahaa , jab marzi mein aayaa loud spekar par namaz shroo kar di , aur on London k mufti saaheb k saath kitney muftiyan e kiraam muttafique hai loud speaker k taaluq sey, is ko zaahir karein , to agar ulemaa e kiram us par muttafique nahi to kaisey hukm badlegaa ,  

  • In akaabir ulemaa e ahl e sunnat jinmein aalahazrat radiALLAHu anh k khulafaa aur tilaamezah shagird shaamil hai un ka mauqaf yeh hai ki  ----------------------------------

  • 1)kaseer jamaat mein mukabbereen rakhna SUNNAT E MUTAWAASIRAH MAASOORAH hai ,jis rasooluALLAH sallALLAHu alaihi wasallam k zamaaney mey amal kiya gayaa , khulafa e raashedeen ney amal kiya , a’imma e mujtahedeen ney amal kiya aur 1400 saalo sey tamaam ummat amal karti aayee hai,  ---------------------------------

  • 2)loud speaker ka namaz mein iste’maal mukabbereen jaisee sunnat ko khatm kartaa hai , isliye BID’AT E SHANEE’AH QABEEHAH hai , in akaabereen ki list neechey dekhein , 
jis mey khaas taur par
  • khaleefa e aalahazrat huzoor burhan e millat mufti burhanul haq wad deen radiALLAHu anh jinhey aalahazrat ney “qurrato ainee durrati zainee’((Meri aankho ki thandak,khubsurat moti jesa)) ka farmaayaa 

  • khaleefa o shehzaada e aalahazrat huzoor mufti e aaza e hind radiALLAHu anh 

  • Khaleefa e aalahazrat mufti naeemuddin muraadaabaadi radiALLAHu anh 

  • Khaleefa E aalahazrat Sadrushariyah mufti amjad ali radiALLAHu anh 

  • Khaleefa E aalahazrat Sher Besha E Ahl e sunnat Mufti hashmat ali radiALLAHu anh 

  • Khaleefa E aalahazrat Sarkar muhaddis e aazam e hind kichauchawee radiALLAHu anh 

  • Naayeb Mufti e Aazam e Hind Mufti Shareef Ul haq saaheb alaihirrahema 

  • Hakeem Ul Ummat Mufti Ahmad Yaar Khan Nayeemi alaihirrahema Musannif Ja’alhaq 

  • Poori list neechey dekhiey , aur scan pages b jo sab sey aakhir mein diye jaayengey 

  • HADEES SHREEF KA MAFHOOM  
Bukhari shareef mein  Ummul Mumeneen Hazrat Aayeshah radiALLAHu anh  sey hadees shareef hai  mafhoom  """raasooluALLAH sallALLAHu alaihi wasallamney apni marz ki haalat ,mein abu bakr siddique radiALLAHu anh ko hukm farmaayaa ki woh namaaz padhaayein aur logo ki imaamat karein , hazrat abu bakr siddique radiALLAHu anh jamaat ki imaamat ker rahey they , hazrat urwah radiALLAHu anh kehtey hai huzoor sallALLAHu alaihi wasallam ney marz ki haalat mein kucchh takhfeef paayee , to hujrah e aqdas sey baraamad huey , yehaa hazrat abu bakar siddique radiALLAHu anh logoan ki imaamat ker rahey they , jab siddique e akbar radiALLAHu anh ney mehsoos kiya ki huzoor e karam sallALLAHu alaihi wasallam tashreef laa rahey hai , to aap peecchhey hatney lagey , huzoor sallALLAHu alaihi wasallam ney irshad farmaayaa , aisey hi reho jaisey ho , phir huzoor sallALLAHu alaihi wasallam siddique e akbar radiALLAHu anh k pehloo mein tashreef farmaa huey , ,aur imaamat farmaayee , to siddique e akbar radiALLAHu anh huzoor sallALLAHu alaihi wasallam ki namaz per namaz adaa ker rahey they , aur tamaam jamaat k loag siddique e akbar radiALLAHu anh ki namaaz k saath namaz adaa kar rahey they , yaani huzoor e akram sallALLAHu alaihi wasallam , ki takbeer tasmee'a o salaam par siddique e akbar radiALLAHu anh ney takbeer tasmee'a o salaam kahaa aur logo ney siddique e akbar ki aawaaz par naamz adaa ki"""

  • Allama Ainee ney "umdatul qaari" mein isi hadees shareef k tahet farmaayaa , yaani is hadees mein is amr ki taraf dalaalat hai ki jab imam itni door ho ki inkey peecchhey namaz padhney waalaa inhey naa dekh saktaa ho to jaayez hai ki muqtadee mukabbir k rukoo per rukoo karey

  • Lehaazah imam ki takbeeraat o inteqaalaat ko muballigh aur mukabbir k zariye jo khud b imam k saath namaz mein shaamil ho aur us ka muqtadee ho , tamaam muqtadiyo aur jamaat tak pahunchaanaa sunnat e rasooluALLAH sallALLAHu alaihi wasallam aur sunnat e khaleefa e awwal siddique e akbar radiALLAHu anh hai aur

  • HADEES SHAREEF ka irshad hai  mafhhom "yaani tum per laazim hai meri sunnat per amal karoaur mere baad khulafaa e raashedeen ki sunnat per amal karo""" isi hadees ka ek hissa yeh hai  """yaani meri aur khulfaa e raashedeen ki sunnat aur tareeqah ko ikhteyaar karo , aur is tareeqey ko mazbooti sey thaam lo aur khabardaar nayee nayee baato sey bachtey reho is liye ki har nayee cheez bid'at hai aur har aisee bid'at gumrahi hai""" (Musnad Imam Ahmad Bin Hanbal, Jild 5 Page 110 Aboo Daaood, Tirmizi, Ibn E Maajah)

  • "Algharz namaz mein loud speaker ka istemaal ek bid'at e qabeeha o shanee'a hai jo nabi e akram sallALLAHu alaihi wasallam aur siddique e akbar radiALLAHu anh aur khulfaa e raashedeen o sahaabaa e kiraam o a'imma e uzzam alaihirrahemurrizwaan ki sunnat e maasoorah o mutawaarisah k amaant o ikhtetaam kaa baais hai , haalaanki imam ki takbeeraat o inteqaalaat k liye usee imam ki iqtedaa mein namaz adaa kerney waaley ka imam ki niyaabat mein imam ki takbeeraat o inteqaalaat ko kaseer jamaat mein muqtadiyo tak pahunchaanaa ek nihaayet azeem mansab aur ahem mas'alah hai""" (siyaanatussalaat-an-hiyalul-bidaat-ma-tasdeeqaat-mufti-burhan-ul-haq-alaihirrahe page no 16)

  • "aisey daur e bid'aat aur is zamaaney shyoo'a mafaasid k liye aalam maakaana wa yakoon minALLAH alaihi wasallam ki hadees e shareef ""mishkwaat"" mey ""behaqee"" sey marwee hai,  """"""jisney meri sunnat ko aisey waqt mein qaayem rakhaa jabki ummat fasaad mein mubtelaa ho us key liye 100 shaheedo ka sawaab hai"""""" (siyaanatussalaat-an-hiyalul-bidaat-ma-tasdeeqaat-mufti-burhan-ul-haq-alaihirrahema  page 19)

=========================================================================-----------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------==================================================================

==================================================










































































----------------------------------==========================================================
  • Ab in muballegheen e dawat e islami ka BUZURGAN E DEEN AUR AKAABIR ULEMAA E AHL E SUNNAT par jhoot bohtan aur iftra'a ko mulahezah farmaaye aur UN KA JAWAAB WITH SCAN PAGES , waisey hamaarey pass ek mufti e dawat e islami ka b fatwaa hai jis mey un hazrat ney to aalahazrat radiALLAHu anh k khaleefa huzoor mufti sayyed naeemuddin alaihirrahema ka b zikr kiya ki wo b jwaz k qaayel they ma'aazALLAH jabki hamney yahaa un k fatwey ka scan diya hai ,ooper check karein , aur un key ek shagird hakeem ul ummat huzoor mufti ahmad yaar khan naeemi alaihirrahema ka b , jinka yeh mauqaf tha ki , """mukabbir rakhna sunnat hai aur loud speaker sunnat ko mitaataa hai isliye bid'at hai , agar loud speaker k saath mukabbir b rakhey to israaf (fuzool kharchi) jo mamnoo' hai shariyat mein usey shaitaan ka bhai kaha gayaa hai""" jis mey unhoney loud speaker ko mazahemat e sunnat farmaya hai ===========================------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------ ----------------------

-------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------============================================================---------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------Muballegheen E Dawat E Islami Ki is post mein jin Buzurgan E Deen Akabir Ulema E Ahl E Sunnat Par Bohtan Aur Jhoot mansoob kiyaa gayaa hai ,
  • 1)Mufti mehmod akhtar saaheb mumbai

  • 2)Mufti Mansoor Ahmad saaheb mumbai 

  • 3)Huzoor sadrushariyah Khaleefa E aalahazrat Musannif E bahar E Shariyat Mufti amjad ali alaihirrahema 

  • 4)Mufti Sayyed Afdhal Hussain alaihirrahema Khaleefa E Huzoor Mufti e aazam e hind radiALLAHu anh jinhoney apney adm e jwaz k fatwey sey rujoo farmaa liyaa tha 

  • 5)Mufti Muneeburraheman saaheb ka aur mufti Noor Mohammad Saaheb ka zikr in logo ney kiya hamein filhal is ki tehqeeq nahi ,yeh pakistan k hai , pakistan k loag hi tehqeeq ker saktey hai ki in ka kya mauqaf hai ,  jo loag itney badey akaabir buzurgan e deen par bohtan baandh saktey hai un key liye kya kahaa jaaye -------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------=========================================================--------------------------------------Is Jhoot Aur Bohtan Ka Jawab::-

  • 1)Fatwa Loud Speaker Ki Iqteda Per Namaz faasidh By Mufti Mehmood Akhtar Saaheb, Mumbai,------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------- ---------------------------------------------------------------------------------






----------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------=====================================================-------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------
  • 2)Mufti Mansoor Ali Saaheb, Mumbai , sey personally roo baroo baat hui , woh loud speaker par namaz k adm e jwaz k qaayel hai , bahut jald tehreer dengey insha ALLAH---------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------====================================================---------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------

  • 3)Huzoor Sadrushariyah Khaleefa E aalahazrat Musannif E Bahar E Shariyat Mufti Amjad Ali radiALLAHu anh jin key baarey mey aalahazrat radiALLAHu anh farmaatey hai ki tafaqqoh fiddeen dekhna hai to amjad ali mein dekho -----------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------========================================================------------------------------------------------------------




-------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------=======================================================------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------
  • 4)Mufti Afdhal Hussain Saaheb alaihirrahema khaleefa e huzoor mufti e aazam e hind radiALLAHu anh ka rujoo' naamah-----------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------